bikhra hai kai bar sameta hai kai bar ye dil tere atraf ko nikla hai kai bar jis chand ke didar ki hasrat mein hai duniya wo sham dhale ghar mere utra hai kai bar sun kar tujhe madhosh zamana hai mujhe dekh jis ne teri aawaz ko dekha hai kai bar afsos ki hai ishq-e-yagana se bahut dur yaro tumhein har roz jo hota hai kai bar