bujhe bujhe se charaghon se silsila paya

bujhe bujhe se charaghon se silsila paya
hujum-e-yas mein bhatke to rasta paya

kisi khayal mein ubhra umid ka chehra
kisi umid mein partaw khayal ka paya

na jaane kitne gharondon ko tutte dekha
kisi khandar mein tamanna ka naqsh-e-pa paya

tamam raat naya but tarashte guzri
hui jo subh to us but ko tutta paya

qadam qadam pe mile yun to qahqahe bikhre
darun-e-jism koi shakhs chikhta paya

tilism tut gaya dhund chhat gai 'shahid'
kahin pe thahr ke sochen ki hum ne kya paya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close