bujhti shama ki surat kyun afsurda khade ho khidki mein dekho sham hai kis darja dilkash is dhup ki wardi mein wahm-o-guman ke sahraon mein phul khile teri yaadon ke aur charaghan dur tilak hai sanson ki is wadi mein qahr-o-ghazab ke mimbar par hathon mein liye kashkol-e-wafa jhank raha tha suraj bhi kal ghaur se ek surahi mein dur khada ho kar main is liye pahron dekhta rahta hun qaid bahut si yaaden hain meri is viran haweli mein tahon ki pyas bhi sath par ab saf dikhai deti hai dhund rahe hain jaane kya ye baadal nili chhatri mein ek hai andesha mujh ko kahin mere mar jaane ke baad bech na den mere ghar wale meri qimti ghazlen raddi mein rang aur khushbu ki manind hai mera sarapa bhi sahib qaid rakhega aakhir kab tak waqt mujhe yun mutthi mein bahr-e-mohabbat ke sahil ki sair bahut kar li hum ne aao zara ab hum bhi dekhen baith ke pyar ki kashti mein hirs-o-hawas ke sare pujari ek jagah hain aaj jama waqt ki shakh pe shayad koi phul khila hai jaldi mein