chamakte chand se chehron ke manzar se nikal aae

chamakte chand se chehron ke manzar se nikal aae
khuda hafiz kaha bosa liya ghar se nikal aae

ye sach hai hum ko bhi khone pade kuchh khwab kuchh rishte
khushi is ki hai lekin halqa-e-shar se nikal aae

agar sab sone wale mard aurat pak-tinat the
to itne jaanwar kis tarah bistar se nikal aae

dikhai de na de lekin haqiqat phir haqiqat hai
andhere raushni ban kar samundar se nikal aae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close