chand apni wusaton mein gum-shuda rah jaega hum na honge to kahan koi diya rah jaega rafta rafta zehn ke sab qumqume bujh jaenge aur ek andhe nagar ka rasta rah jaega titliyon ke sath hi pagal hawa kho jaegi pattiyon ki ot mein koi chhupa rah jaega zard patton ki tarah ek din bikhar jaega tu ja chuke mausam ko tanha sochta rah jaega shahr-e-viran mein hazaron khwab le kar ek diya zad pe tufanon ki hoga aur jala rah jaega dubte taron ki surat kuchh lakiren chhod kar mere hone aur na hone ka sira rah jaega aandhiyan kar dengi gul 'ishrat' fasilon ke charagh ek diya lekin tamanna ka jala rah jaega