charagh KHud hi bujhaya bujha ke chhoD diya

charagh khud hi bujhaya bujha ke chhod diya
wo ghair tha use apna bana ke chhod diya

hazar chehre hain maujud aadmi ghaeb
ye kis kharabe mein duniya ne la ke chhod diya

main apni jaan mein use jazb kis tarah karta
use gale se lagaya laga ke chhod diya

main ja chuka hun mere waste udas na ho
main wo hun tu ne jise muskura ke chhod diya

kisi ne ye na bataya ki fasla kya hai
har ek ne mujhe rasta dikha ke chhod diya

hamare dil mein hai kya jhank kar na dekh sake
khud apni zat se parda utha ke chhod diya

wo tera rog bhi hai aur tera ilaj bhi hai
usi ko dhund jise tang aa ke chhod diya

wo anjuman mein mila bhi to us ne baat na ki
kabhi kabhi koi jumla chhupa ke chhod diya

rakhun kisi se tawaqqoa to kya rakhun 'shahzad'
khuda ne bhi to zamin par gira ke chhod diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close