charagh usne bujha bhi diya jala bhi diya

charagh us ne bujha bhi diya jala bhi diya
ye meri qabr pe manzar naya dikha bhi diya

ye chhed kya hai ye kya mujh se dil-lagi hai koi
jagaya nind se jaga to phir sula bhi diya

udhar tha lutf-o-karam un ka is taraf tha itab
charagh umid ka raushan kiya bujha bhi diya

ye shokhiyan nai dekhin tumhaari chitwan mein
ki parda rukh pe liya aur phir utha bhi diya

udhar lagaw idhar barhami ke hain aasar
mujhe phansa bhi liya aur phir chhuda bhi diya

nikal gae meri aankhon se saikadon aansu
khazana jama kiya aur phir luta bhi diya

naya hai husn ke bazar ka utar-chadhaw
chadhaya sar pe nigahon se phir gira bhi diya

zara to pas-e-talab aashiqon ka tum karte
bulaya pas bhi phir pas se hata bhi diya

ye un ka khel to dekho ki ek kaghaz par
likha bhi nam mera aur phir mita bhi diya

agarche rah-e-mohabbat hai tang-o-tar magar
isi ke sath hamein aql ka diya bhi diya

bashir sing kata kar mile hain bachhdon mein
bane jawan budhape ka gham bhula bhi diya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close