chashm-e-KHunbar mein kyun laKHt-e-jigar jama karen

chashm-e-khunbar mein kyun lakht-e-jigar jama karen
ghuncha-e-gul ki tarah ka hai ko zar jama karen

qatl ke baad hua hukm ki lashen uth jaen
qaid-e-tafriq se maqtulon ke sar jama karen

yar ne khatt-o-kabutar ke kiye hain tukde
purze kaghaz ke karen jama ki par jama karen

fikr mein gesu-o-rukhsar ke dil ki khatir
sham hoti hai pareshan jo sahar jama karen

hum rahe dahr mein jab tak tu rahe pa-ba-rikab
par na ye ho saka asbab-e-safar jama karen

donon aalam se na kyun band wo aankhen rakkhen
tere nazzare ke khatir jo nazar jama karen

yak qalam panj sad-o-chaar hon diwan mein ghazal
hum kalam apna 'waqar' aaj agar jama karen


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close