chhoD kar apni zamin apna samundar sain

chhod kar apni zamin apna samundar sain
main bahut dur se aaya hun tere ghar sain

koi beri bhi nahin kanch ka bartan bhi nahin
phir mere sahn mein kyun aate hain patthar sain

barf ki god mein palte hue khamosh chinar
ghair mausam mein sulag uthte hain aksar sain

phul ban jate hain hathon mein mere bachchon ke
meri tuti hui diwar ke patthar sain

ho gain shahr ki sadken to kushada bhi magar
ab kahan jaen ye footpath ke bistar sain

main to poras ki tarah jang lada aur haara
tu bina jang hi ban baitha sikandar sain

le ke aaya hai azal hi se 'nazar-siddiqi'
tute kae ki tarah apna muqaddar sain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close