dagh-ha-e-dil ki tabani gai

dagh-ha-e-dil ki tabani gai
un ke jalwon ki farawani gai

aashna na-ashna se ho gae
apni surat bhi na pahchani gai

ek dil mein saikdon gham ka hujum
phir bhi us ghar ki na virani gai

ab kahan wo jazba-e-mahr-o-wafa
aadmi se khu-e-insani gai

aaine mein waqt ke ai ham-nafas
doston ki shakl pahchani gai

rah gae hosh-o-khirad ke falsafe
justuju ta-hadd-e-imkani gai

'mir'-o-'ghaalib' 'wahshat'-o-'dagh'-o-'jigar'
kya gae 'asi' ghazal-khwani gai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close