dair mein ya haram mein guzregi umr tere hi gham mein guzregi kuchh umid-e-karam mein guzri umr kuchh umid-e-karam mein guzregi zindagi yaad-e-dost hai yani zindagi hai to gham mein guzregi ab karam ka ye ma-hasal hai ki umr yaad-e-ahd-e-sitam mein guzregi dil ko shauq-e-nashat-e-wasl na chhed gham mein guzri hai gham mein guzregi hasrat-e-dam-ba-dam mein guzri umr ibrat-e-dam-ba-dam mein guzregi hashr kahte hain jis ko ai 'fani' wo ghadi sharah-e-gham mein guzregi