dam ajnabi sadaon ka bharte ho sahibo har lamha apni jaan se guzarte ho sahibo kya jaane kya hai baat ki har samt bhid mein apna hi chehra dekh ke darte ho sahibo tum bhi ajib log ho kanton ki rah se kaise lahuluhan guzarte ho sahibo ek ajnabi si aag hai jal ke is mein aaj kis zindagi ki khoj mein marte ho sahibo kya jaane kis guhar ki tumhein justuju hai kyun dariyaon mein lahu ke utarte ho sahibo itna bhi phunk phunk ke rakhte nahin qadam ab kunj-e-afiyat se bhi darte ho sahibo ab ye zamin bhi na khalaon ki ho shikar kyun apne aasman se utre ho sahibo