danista jo ho na sake nadani se ho jata hai aag ka dariya par badi aasani se ho jata hai had-e-nazar tak ek tanhai khak udati phirti hai sahra be-bas apni hi virani se ho jata hai jitni umr sarabon ka pichha karne mein guzarti hai itna gahra pyas ka rishta pani se ho jata hai ghar se nikalna bhi mushkil hai ghar mein rahna bhi mushkil hai kaisa mausam barish ki man-mani se ho jata hai rone se dil halka to ho jata hai lekin socho wo nuqsan jo ashkon ki arzani se ho jata hai jhil ki gahri khamoshi bhi hoti hai mashkuk magar dariya ruswa maujon ki tughyani se ho jata hai