dar aap ka hum chhod ke ab jaen kahan aur hai tark-e-talluq mein khud apna hi ziyan aur aasan uthana na tha kuchh bar-e-khilafat juz mere uthata bhi koi bar-e-garan aur dil hai ki koi chaub-e-tar-o-taza-o-shadab jab aag sulagti hai to uthta hai dhuan aur hai fasl-e-bahaaran mein chaman shoala-ba-daman ab dekhiye kya hota hai andaz-e-khizan aur aazadi-e-guftar-o-khayalat ka izhaar barbaadi ke ab is se bhi badh ke hain nishan aur jab shisha-e-dil par mere zangar hai aata kya kahiye chamakta hai mera dagh-e-nihan aur main shakh-e-samar-dar ke manind hun 'mahir' milta hun kisi se to wo karta hai guman aur