dar-ba-dar jaun ye kahan mumkin

dar-ba-dar jaun ye kahan mumkin
main bikhar jaun ye kahan mumkin
mujh se hogi yazid ki baiat
marta mar jaun ye kahan mumkin
ishq mein bewafai ka ilzam
tujh pe dhar jaun ye kahan mumkin
aaj un se hai wasl ka wada
aaj mar jaun ye kahan mumkin
sab jidhar ja rahe hun ai 'mazhar'
main udhar jaun ye kahan mumkin