dard aasani se kab pahlu badal kar nikla aankh ka tinka bahut aankh masal kar nikla tere mehman ke swagat ka koi phul the hum jo bhi nikla hamein pairon se kuchal kar nikla shahr ki aankhen badalna to mere bas mein na tha ye kiya main ne ki main bhes badal kar nikla mere raste ke masail the nokile itne mere dushman bhi mere pairon se chal kar nikla dagmagane na diye panw rawa-dari ne main sharabi tha magar roz sambhal kar nikla