darida-pairahanon mein shumar hum bhi hain bahut dinon se ana ke shikar hum bhi hain faqat tumhin ko nahin ishq mein ye dar-badari tumhaari chah mein gard-o-ghubar hum bhi hain chadhi jo dhup to hosh-o-hawas kho baithe jo kah rahe the shajar saya-dar hum bhi hain bulandiyon ke nishan tak na chhu sake wo log jinhen guman tha hawa pe sawar hum bhi hain jo khasta-haali mein darwesh ka muqaddar thi usi qaba ki tarah tar-tar hum bhi hain