daron ko chunta hun diwar se nikalta hun

daron ko chunta hun diwar se nikalta hun
main khud ko jit ke is haar se nikalta hun

tujhe shanakht nahin hai mere lahu ki kya
main roz subh ke akhbar se nikalta hun

meri talash mein us par log jate hain
magar main dub ke is par se nikalta hun

ajib khauf hai donon ko kya kiya jae
main qad mein apne hi sardar se nikalta hun

ab aage faisla qismat pe chhod ke main bhi
tilism-e-sabit-o-sayyar se nikalta hun

suni hai main ne kisi samt se wahi aawaz
suno main gardish-e-parkar se nikalta hun

meri talash mein wo bhi zarur aaega
so main bhi chashm-e-kharidar se nikalta hun

natija jo bhi ho ja-e-aman mile na mile
main ab kharaba-e-purkar se nikalta hun


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close