darun-e-khwab naya ek jahan nikalta hai zamin ki tah se koi aasman nikalta hai bhala nazar bhi wo aae to kis tarah aae mera sitara pas-e-kahkashan nikalta hai hawa-e-shauq ye manzil se ja ke kah dena zara si der hai bas karwan nikalta hai meri zamin pe suraj ba-waqt-e-subh o masa nikal to aata hai lekin kahan nikalta hai ye jis wajud pe tum naz kar rahe ho bahut yahi wajud bahut raegan nikalta hai maqam-e-wasl ek aisa maqam hai ki jahan yaqin karte hain jis par guman nikalta hai badan ko chhod hi jaana hai ruh ne 'azar' har ek charagh se aakhir dhuan nikalta hai