dasht-e-tanhai mein hum KHak uDa dete hain

dasht-e-tanhai mein hum khak uda dete hain
shab ki khamoshi mein yaadon ko sada dete hain

din guzarte hain tawaf dar-e-jaanan karte
apni raaton ko bhi aankhon mein ganwa dete hain

raat bhi bit gai tare bhi sab dub chale
apne ashkon ko bhi palkon mein chhupa dete hain

apne atwar pe nadim na hon mahfil mein aziz
chehre chhup jaen charaghon ko bujha dete hain

tum pareshan ho kyun hum to tumhaari khatir
ab bhi chaho to har ek baat bhula dete hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close