dasht-o-sahra ki kahan ab zindagani chahiye

dasht-o-sahra ki kahan ab zindagani chahiye
aur agar aisa hai to honton ko pani chahiye

sochta hun mere dil tak kis tarah pahunche koi
be-nishan ghar ke liye kuchh to nishani chahiye

putliyon par raqs karna hi kalam-e-fan nahin
dard ke aansu ko to paiham rawani chahiye

ek sunahra khwab meri nind ko darkar hai
khwab ko bhi nind hi ki pasbani chahiye

raat guzri hai hisar-e-karb mein ai 'mazhari'
sham ab dil ke liye koi suhani chahiye


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close