dastiyab us ko hua jab se hai gul-dasta-e-dagh bulbul-e-dil ka nahin milta hai zinhaar dimagh halqa-e-zulf se us ki jo ayan hain aariz shab-e-tarik mein goya ki farozan hai charagh gar farogh-e-rukh-e-jaanana madad-farma ho gham-e-kaunain se ho jawe wahin dil ko faragh fazl-e-izad se mubarak rahe ai waiz-e-shahr kucha-e-yar hamein aur tujhe firdaus ka bagh mast-e-ishq-e-shah-e-khadim hun main 'asim' yaksar jis ne bakhsha hai mujhe baada-e-irfan ka ayagh