daur-e-charKH-e-kabud jari hai

daur-e-charkh-e-kabud jari hai
jism-o-jaan par jumud tari hai

goya insan nahin hayula hun
meri rag rag mein dud sari hai

maut ham-sae mein hui hai to kya
bazm-e-raqs-e-surur jari hai

doston se wo kya karenge suluk
jin par apna wajud bhaari hai

hai tasawwur mein ek rukh-e-raushan
aur lab par darud jari hai

umr bhar khul saki na dil ki girah
khub shaghl-e-kushud-kari hai

bhar na paega zakhm-e-dil 'sahir'
zarb-e-harf-e-husud kari hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close