dekh kar hum ko asir-e-arzu

dekh kar hum ko asir-e-arzu
aur bhi wo ho gae begana-khu

phad dala dast-e-wahshat ne jise
phir karen kya is gareban ka rafu

phir sajao mahfil-e-dar-o-rasan
muztarib hai phir zaban-e-guftugu

gar ziyaada se ziyaada hon gunah
kam nahin hai aayat-e-la-taqnatu

mujh ko dar lagta hai apne shahr mein
hain bahut unche yahan ke kakh-o-ku

jab bhi rut aati hai patjhad ki yahan
chus leti hai bahaaron ka lahu

rah ke 'najmi' ne pas-e-parda yahan
kar diya hai sab ko mahw-e-justuju


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close