dekha use, qamar mujhe achchha nahin laga

dekha use, qamar mujhe achchha nahin laga
chhu kar use, guhar mujhe achchha nahin laga

chaha use to yun ki na chaha kisi ko phir
koi bhi umr bhar mujhe achchha nahin laga

aaina dil ka tod ke kahta hai sang-zan
dil tera tod kar mujhe achchha nahin laga

dil se mere ye kah ke sitamgar nikal gaya
dil hai tera khandar mujhe achchha nahin laga

ugla safar ho mere khuda rahaton bhara
jiwan ka ye safar mujhe achchha nahin laga

dekha jo is ke dar pe raqibon ka ek hujum
phir us ke ghar ka dar mujhe achchha nahin laga

tajdid-e-rasm-o-rah pe wo to raha musir
wo bewafa magar mujhe achchha nahin laga

is ka hi zikr bas tumhein achchha lage 'sahab'
kahte ho tum magar mujhe achchha nahin laga


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close