dhaDkanen ban ke jo sine mein raha karta tha

dhadkanen ban ke jo sine mein raha karta tha
kya ajab shakhs tha jo mujh mein jiya karta tha

nakhun-e-waqt ne har naqsh khurach dala hai
mera chehra meri pahchan hua karta tha

kai honton pe hama-waqt jami rahti thi
ek dariya meri aankhon mein thama karta tha

ek talatum tha tah-e-ab sukut-e-dariya
dil-e-khamosh mein ek shor raha karta tha

murtaish hota tha jab khama-e-angusht kabhi
kya kya qirtas-e-khala par main likha karta tha

zehn-o-dil is liye sargarm-e-amal rahte the
rahnumai meri har waqt khuda karta tha

aabla-paiyan karti thin agar dil-shikani
hausla phir rah-e-ummid ko wa karta tha

ho gaya nazr bil-akhir meri haq-goi ki
ek sar jo kabhi shanon pe saja karta tha

kya hua aaj ai 'salim' wo shuur-e-baaligh
jo qalam-zad teri tahrir kiya karta tha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close