dhal chuke suraj ke ehsasat ki hai bahut uljhi kahani raat ki sab bikhar jaenge moti farsh par khol dun gar potli jazbaat ki rakh di hai izzat jinhonne tak pe baat karte hain wahi auqat ki apni mehnat par bharosa hai hamein hai nahin khwahish kisi khairaat ki ho gaya aadi 'sachin' dil dard ka aankh aadi ho gai barsat ki