dhuan dhuan hai faza raushni bahut kam hai sabhi se pyar karo zindagi bahut kam hai maqam jis ka farishton se bhi ziyaada tha hamari zat mein wo aadmi bahut kam hai hamare ganw mein patthar bhi roya karte the yahan to phul mein bhi tazgi bahut kam hai jahan hai pyas wahan sab gilas khali hain jahan nadi hai wahan tishnagi bahut kam hai ye mausamon ka nagar hai yahan ke logon mein hawas ziyaada hai aur aashiqi bahut kam hai tum aasman pe jaana to chand se kahna jahan pe hum hain wahan chandni bahut kam hai barat raha hun main lafzon ko ikhtisar ke sath ziyaada likhna hai aur diary bahut kam hai
Please share if you liked this!!!