dhup aisi tez dhup garm hai faza bahut

dhup aisi tez dhup garm hai faza bahut
milenge chhanw dhundte barhana-pa khuda bahut

ye rah be-kanar be-panah khizr ki fughan
bahut mili thi zindagi magar mili zara bahut

khizan nasib daur mein bahaar ki tasalliyan
magar wo dil jise hai khar-o-khas ka aasra bahut

unhen khabar karo ki sham-e-hijr aa rahi hai phir
jinhen wafa-e-ahd par ghurur o naz tha bahut

fareb-e-arzu pe aur e'tibar ke liye
uthao jam waqt kam hai waqt ho chuka bahut


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close