dibacha-e-kitab-e-wafa hai tamam umr ek lamha-e-shuur-e-fana hai tamam umr mahrumiyon ne sath diya hai tamam umr ek dard hai ki dil mein raha hai tamam umr kyun mere lab pe aai gham-e-agahi ki baat gustakhi-e-khirad ki saza hai tamam umr yaad-e-khuda mein ji na laga hai ye aur baat khauf-e-khuda to dil mein raha hai tamam umr aa khalwat-e-'sarosh' mein ai marg-e-na-gahan tera hi intizar kiya hai tamam umr