dil-e-nadan koi mahshar na uThana is waqt

dil-e-nadan koi mahshar na uthana is waqt
aa raha hai meri baaton mein zamana is waqt

karb-e-tanhai ki tawil to mushkil hai bahut
kaise chup-chap hua aap ka aana is waqt

rasm-e-tajdid-e-marasim bhi zaruri hai magar
yaad aaya hai mujhe waqt purana is waqt

ye ghadi koi faramosh nahin kar sakta
meri aankhon mein hai ek khwab suhana is waqt

aa raha hai koi phir dam-e-nazar mein 'jafar'
aise manzar se nigahen na hatana is waqt


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close