dil-e-zinda KHud rahnuma ho gaya

dil-e-zinda khud rahnuma ho gaya
ye qibla hi qibla-numa ho gaya

hua rang-e-duniya mein kyun shefta
tujhe bul-hawas hae kya ho gaya

ye parda hi tha parda-posh-e-nazar
hijab uth gaya khud-numa ho gaya

yahi khud-shanasi khudai hui
khudi mit gai jab khuda ho gaya

anal-haq hual-haq jo aaya nazar
ye shorida-sar khud-numa ho gaya

tarruz hual-haq jo aaya nazar
tashshuq mein sab faisla ho gaya

tajalli hui jis ko tauhid ki
wo qaid-e-dui se riha ho gaya

ye kya chiz tha 'saqi' hech-kas
tere fazl se kya se kya ho gaya


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close