dil hai ghiza-e-ranj jigar hai ghiza-e-ranj

dil hai ghiza-e-ranj jigar hai ghiza-e-ranj
paida kiya hai hum ko khuda ne bara-e-ranj

hasil kisi se kuchh nahin hota siwa-e-ranj
duniya mein lai hai hamein qismat bara-e-ranj

aadam se bagh-e-khuld chhuta hum se ku-e-yar
wo ibtida-e-ranj hai ye intiha-e-ranj

mumkin nahin hai aae jo bu-e-gul-e-nashat
aise dimagh-e-jaan mein bhari hai hawa-e-ranj

jhidki de galiyan de sitamgar zalil kar
kafir ho ai sanam jo zara dil mein lae ranj

hum nakhl-e-ah se chaman-e-rozgar mein
bandha kiye hawa paye nashw-o-numa-e-ranj

ai san-e-azal meri mitti kharab ki
kya chahiye thi khana-e-dil mein bina-e-ranj

sab dost apni haal mein hain aap mubtala
kis se kahun main kaun sune majra-e-ranj

hum bar-e-ishq ke mutahammil na ho sake
bas dil pakad ke baith gae wo uthae ranj

hain sikka-ha-e-dagh hazaron bhare hue
qasr-e-dil-e-faqir hai daulat sara-e-ranj

bhuli nahin nasib ke likkhe ki khubiyan
tahrir lauh-e-dil pe hai sab majra-e-ranj

mumkin nahin mizaj rahe ek haal par
gah aashna-e-aish hain gah aashna-e-ranj

achchhe ye qahqahe nahin aashiq ke haal par
dekho hansi hansi mein kahin ho na jae ranj

hote hain kis libas mein ashaar-e-dardnak
bahr-e-urus fikr hai zeba rida-e-ranj

kya gham jo ku-e-yar mein hota hun paemal
fart-e-khushi se khak nahin dil mein jae ranj

kahte hain mere dost mera haal dekh kar
dushman ko bhi khuda na kare mubtala-e-ranj

sauda-e-ishq mein ye saadat husul hai
bakht-e-siyah hai saya-e-baal-e-huma-e-ranj

andher sadma-e-shab-e-furqat hai ai 'saba'
aandhi charagh-e-jaan ke liye hai hawa-e-ranj


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close