dil ka gila falak ki shikayat yahan nahin

dil ka gila falak ki shikayat yahan nahin
wo mehrban nahin to koi mehrban nahin

hum aaj tak chhupate hain yaron se raaz-e-ishq
haalanki dushmanon se ye qissa nihan nahin

zeba nahin hai dost se karna moamla
kuchh warna naz jaan ke badle giran nahin

hum zumra-e-raqib mein mil kar wahan gae
jab shauq rahnuma ho koi pasban nahin

aashufta misl-e-baad hun betab misl-e-barq
kyunkar muin-e-charkh teri shokhiyan nahin

hum aap par nisar karen kaenat ko
par kya karen bisat mein juz nim-jaan nahin

saman-e-wajd fitna-e-mahshar ko de diya
wo khak par hamari jo daman-kashan nahin

kyun hain nadim-e-dost sifarish mein ghair ki
kya hum ko un se rasm-o-rah-e-armughan nahin

ek haal-e-khush mein bhul gae kaenat ko
ab hum wahan hain mutrib o saqi jahan nahin

kis kis pe rashk kijiye kis kis ko roiye
kis din wo jalwa aafat-e-sad-khanuman nahin

kyun ye hujum-e-shor-o-shaghab hai nushur mein
aisa to 'shefta' hamein khwab-e-giran nahin


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close