dil ke parde pe chehre ubharte rahe muskuraate rahe aur hum so gae

dil ke parde pe chehre ubharte rahe muskuraate rahe aur hum so gae
teri yaadon ke jhonke guzarte rahe thapthapate rahe aur hum so gae

yaad aata raha kucha-e-raftagan sar pe saya-fagan hijr ka aasman
na-rasai ke sadme nikharte rahe dil jalate rahe aur hum so gae

hijr ke ratjagon ka asar yun hua wasl-e-jaanan ka lamha basar yun hua
dosh par us ke gesu bikharte rahe gudgudate rahe aur hum so gae

kaise tajdid-e-ahd-e-wafa kijiye gham maza de rahe hain so kya kijiye
dar pe aa kar wo aksar thaharte rahe khatkate rahe aur hum so gae

awwal awwal to har shab qayamat hui rafta rafta hamein aisi aadat hui
ghar ke aangan mein gham raqs karte rahe ghul machate rahe aur hum so gae


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close