dil ke virane ko yun aabaad kar lete hain hum kar bhi kya sakte hain tujh ko yaad kar lete hain hum jab buzurgon ki duaen ho gain be-kar sab qarz-e-khwab-awar se dil ko shad kar lete hain hum talkhi-e-kaam-o-dahan ki aabyari ke liye dawat-e-shiraaz-e-abr-o-baad kar lete hain hum dekh kar dhabbe lahu ke dast-e-adam-zad par tari apne zehn par ilhad kar lete hain hum kaun sunta hai bhikari ki sadaen is liye kuchh zarifana latife yaad kar lete hain hum jab purana lahja kho deta hai apni tazgi ek nai tarz-e-nawa ijad kar lete hain hum dekh kar ahl-e-qalam ko kushta-e-asudgi khud ko 'wamiq' farz ek naqqad kar lete hain hum