dil ki aawaz mein qayam karen aa mere yar aa kalam karen titliyan dhundne mein din katen aur jangal mein ek sham karen aainon ko bulaen ghar apne aur charaghon ka ehtimam karen us ke honton ko dhyan mein rakh kar surkh phulon ka intizam karen jis ke dam se hai ye sukhan aabaad ye ghazal bhi usi ke nam karen