dil ki dhaDkan ulajh rahi hai ye kaisi saughat ghazal ki

dil ki dhadkan ulajh rahi hai ye kaisi saughat ghazal ki
tar-e-nafas par ungli rakh di chhed ke tum ne baat ghazal ki

us ka chehra us ki aankhen ek qayamat hae mohabbat
taswiren khud batlati hain sari tafsilat ghazal ki

wahi kahani dohraenge wahi nishani phir dhundenge
aadam aur hawwa se judi hai asl mein talmihat ghazal ki

safha-e-dil par misra-e-tar ki shakl mein aansu girte hain
dard ke baadal chhate hain to hoti hai barsat ghazal ki

hawa hue wo din ki ghazal karti thi bas mahbub se baat
waqt ka manzar-nama badla badli tarjihat ghazal ki

chulhe-chauke se be-zari fikr-e-sukhan aasab pe tari
jagte sote rah nihaarun 'rakhshan' main ban raat ghazal ki


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close