dil ko mamur karo jazb-o-asar se pahle

dil ko mamur karo jazb-o-asar se pahle
naqsh-e-manzil chamak utthenge safar se pahle

lamha-e-fikr se saqi ki murawwat ke liye
bazm-e-rindan mein chale jam kidhar se pahle

garmi-e-ishq ne bakhsha hai ye aalam warna
husn bedar na tha meri nazar se pahle

rifaten kaun-o-makan ki bhi simat aati hain
kis ko malum tha ye sajda-e-dar se pahle

daman-e-mizhgan ke shab-tab sitaron ki qasam
ek hasin subh ka aalam tha sahar se pahle

lab bhi betab hain izhaar-e-haqiqat ke liye
dastan sun lo magar dida-e-tar se pahle

kahkashan-saz kiya qadmon ko main ne warna
kaun waqif tha teri rahguzar se pahle

lazzat dard farishton ko 'raza' kya malum
na hua ishq ka aazar bashar se pahle


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close