dil ko nasib soz-e-gham-e-gulsitan kahan

dil ko nasib soz-e-gham-e-gulsitan kahan
hota to aaj hota ye dard-e-nihan kahan

zauq-e-bahaar hi hai na khauf-e-khizan mujhe
gum-sum hai apne haal mein tab-e-rawan kahan

jis se gulon ke zabt ka daman ho tar tar
hai andalib tera wo zauq-e-fughan kahan

ho jae ab na khatm fasana firaq ka
hain nur-e-subh raat ki nairangiyan kahan

le jaegi saba mera paigham tu magar
hoga subuk hawa se mizaj-e-garan kahan

le aae tod tod ke tare falak se hum
lekin nasib quwwat-e-husn-e-bayan kahan

'shadan' na dhundh arsa-e-ghurbat mein aasare
is mein chaman ki arzish-e-arz-o-saman kahan


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close