dil shab-e-furqat sukun ki justuju karta raha

dil shab-e-furqat sukun ki justuju karta raha
raat-bhar diwar-o-dar se guftugu karta raha

jo bahaaron ki chaman mein aarzu karta raha
nazr-e-rang-o-bu khud apna hi lahu karta raha

apni nazron ko kharab-e-justuju karta raha
jo musalsal imityaz-e-rang-o-bu karta raha

shisha-e-dil jo nazakat mein guhar se kam nahin
ishq mein kaise sitam sahne ki khu karta raha

aashiqi mein us ki nakaami bhi nakaami nahin
jo fana ho kar bhi teri justuju karta raha

teri chashm-e-mast se pine ke jo qabil na tha
mai-kade mein khwahish-e-jam-o-subu karta raha

sochna ye hai ki us ke khun-e-dil ko kya hua
jo qafas mein aarzu-e-rang-o-bu karta raha

dil ne josh-e-shauq mein kitne hi sajde kar liye
dida-e-tar khun-e-dil se hi wuzu karta raha

jis ne paiham koshishen kin amn-e-alam ke liye
wo khud apne hi chaman ko surkh-ru karta raha

wo sitam dhate rahe har dil pe aur har zakhm-e-dil
shikwa-e-bedad unhin ke ru-ba-ru karta raha

aise diwane ko kya chaak-e-gareban ki ho qadr
umr-bhar jo chaak-e-daman hi rafu karta raha

sare aalam ko rahi ai 'naz' us ki justuju
apne jalwon ko ayan wo ku-ba-ku karta raha


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close