dil silsila-e-shauq ki tashhir bhi chahe

dil silsila-e-shauq ki tashhir bhi chahe
zanjir bhi aawaza-e-zanjir bhi chahe

aaram ki surat nazar aae to kuchh insan
nairang-e-shab-o-roz mein taghir bhi chahe

sauda-e-talab ko na tawakkul ke ewaz de
ye shart to khud khaliq-e-taqdir bhi chahe

lazim hai mohabbat hi mohabbat ka badal ho
taswir jo dekhe use taswir bhi chahe

ek pal mein badalte hain khad-o-khal lahu ke
aankh apne kisi khwab ki tabir bhi chahe

lahja to badal chubhti hui baat se pahle
tir aisa to kuchh ho jise nakhchir bhi chahe

tasir se khali to sukhan nang hai 'gauhar'
shaer ko ata ho sanad-e-'mir' bhi chahe


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close