dil sine mein betab hai dildar kidhar hai kui mujh ko bata do wo mera yar kidhar hai hum kab ke chaman-zar mein behosh pade hain malum nahin gul kidhar aur khar kidhar hai us gul ka pata gar nahin dete ho to yaro itna to bata do dar-e-gulzar kidhar hai dil chinne wale koi ghar baith rahen hain puchhen hain yahi rasta-e-bazar kidhar hai dekha mujhe kal us ne to ghairon se ye bola lao bhi shitabi meri talwar kidhar hai yan ho raha hai sina mera aagu hi chhalni dhunde hai kahan tir ko sofar kidhar hai ahwal nipat tang hai bimar ka tere is waqt tu ai aaina-rukhsar kidhar hai shirin-sukhanan sab hi shukr bechen hain lekin insaf karo josh-e-kharidar kidhar hai barson na mile us se to us shokh ne hum ko puchha na kabhi 'mushafi'-e-zar kidhar hai