dilon mein rahiye jahan ke wale KHuda ke Dhab

dilon mein rahiye jahan ke wale khuda ke dhab
ki ho jahan pe na zahir ye hai mera mazhab

mujhe gharaz nahin juz ye ki yar nala se
asar jalawe hai jun dud-e-shola ya-rab

kaha main raat patangon ko shama ke aage
giro ho aankh mein mashuq ki ye kya hai adab

to kahne lage ai 'uzlat' mere se ishq ke nain
nazar mein pas-e-adab hum ko jalna hai matlab

hamari rakhen jo le ja saba so ho kar subh
jalen hain shola-khurshid par ye dekh tab

jalse hai rakh kahin ishq ka hai ye eajaz
ajab ye cash hai nam halak yahan hai tarab

kaha main tum kun hai rahat ki sai jalna jald
ghamon se chhutna aur shohrat us se hai matlab

asar hai ishq ka tum se ziyaada shama ke bich
ki umr us ki kai jalte so bhi jaan-bar-lab


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close