din mein bhi hasrat-e-mahtab liye phirte hain

din mein bhi hasrat-e-mahtab liye phirte hain
hae kya log hain kya khwab liye phirte hain

hum kahan manzar-e-shadab liye phirte hain
dar-ba-dar dida-e-khun-nab liye phirte hain

wo qayamat se to pahle nahin milne wala
kis liye phir dil-e-betab liye phirte hain

hum se tahzib ka daman nahin chhoda jata
dasht-e-wahshat mein bhi aadab liye phirte hain

saltanat hath se jati rahi lekin hum log
chand bakhshe hue alqab liye phirte hain

ek din hona hai mitti ka niwala phir bhi
jism par atlas-o-kamkhwab liye phirte hain

ham-nawai kahan hasil hai kisi ki mujh ko
ham-nawaon ko to ahbab liye phirte hain

kis liye log hamein sar pe bithaenge faragh
hum kahan ke par-e-surkhab liye phirte hain


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close