diwana hun bikhre moti chunta hun lamha lamha jod ke sadiyan bunta hun tanha kamre suna aangan raat udas phir bhi ghar mein sargoshi si sunta hun mujh ko dimak chat rahi hai sochon ki main apne andar hi andar ghunta hun hanste phul kahan hain meri qismat mein main to bas murjhai kaliyan chunta hun kahne ko khamosh hai meri zat magar sunte ko to sab ki baaten sunta hun 'azar' ek mauhum si hai ummid abhi jis ke sahaare khwab sunahre bunta hun