diwanon ko manzil ka pata yaad nahin hai

diwanon ko manzil ka pata yaad nahin hai
jab se tera naqsh-e-kaf-e-pa yaad nahin hai

afsurdagi-e-ishq ke khulte nahin asbab
kya baat bhula baithe hain kya yaad nahin hai

hum dil-zadgan jite hain yaadon ke sahaare
han mit gae jis par wo ada yaad nahin hai

ghar apna to bhuli hi thi aashuftagi-e-dil
khud-rafta ko ab dar bhi tera yaad nahin hai

lete hain tera nam hi yun jagte sote
jaise ki hamein apna khuda yaad nahin hai

ye ek hi ehsan-e-gham dost hai kya kam
be-mehri-e-dauran ki jafa yaad nahin hai

be-barse guzar jate hain umde hue baadal
jaise unhen mera hi pata yaad nahin hai

is bar 'wahid' aap ki aankhen nahin barsin
kya jhumti zulfon ki ghata yaad nahin hai


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close