dua ka phul pada rah gaya hai thaali mein hawa use bhi uda de na be-khayali mein wo mujh se mang raha hai mujhe meri khatir main khud ko dal na dun kasa-e-sawali mein bas ek mauja-e-baad-e-bahaar guzri thi piro gai hai mera jism dali dali mein bikharta jata hai kamre mein cigareton ka dhuan pada hai khwab koi chae ki pyali mein diye ke samne wo sar jhukae baithi hai chamak rahi hai meri raat us ki baali mein