dua ne kaam kiya hai yaqin nahin aata wo mere pas khada hai yaqin nahin aata main jis maqam par aa kar ruka hun sham dhale wahin pe wo bhi ruka hai yaqin nahin aata wo jis ki aankh mein donon jahan dikhai paden wo mujh ko dekh raha hai yaqin nahin aata jise sanam kabhi samjha kabhi khuda jaana wo aisa hosh-ruba hai yaqin nahin aata jo soz ban ke samaya tha mere sheron mein wo saz ban ke utha hai yaqin nahin aata shagufta chehra aur is par tapan tapan aariz koi anar chhuta hai yaqin nahin aata zahe nasib ki lau de uthi hai tariki sukut bol pada hai yaqin nahin aata harim-e-naz ko dekho ki aaj pahli bar dar-e-niyaz khula hai yaqin nahin aata ye kaise pichhle dinon chup si lag gai thi jise phir aaj naghma-sara hai yaqin nahin aata