dud-e-dil se hai ye tariki mere gham-KHana mein

dud-e-dil se hai ye tariki mere gham-khana mein
shama hai ek sozan-e-gum-gashta is kashana mein

main hun wo khisht-e-kuhan muddat se is virane mein
barson masjid mein raha barson raha mai-khana mein

main wo kaifi hun ki pani ho to ban jae sharab
josh-e-kaifiyyat se meri khak ke paimana mein

barq-e-khirman-soz danai hai na-fahmi teri
warna kya kya lahlahate khet hain har dana mein

kis nazakat se hai dekho ittihad-e-husn-o-ishq
zulf wan shane ne khinchi dard hai yan shana mein

wahshat o na-ashnai masti o beganagi
ya teri aankhon mein dekhi ya tere diwana mein

ishq ko nashw-o-numa manzur hai kab warna sabz
tukhm-e-ashk-e-shama ho khakistar-e-parwana mein

hosh ka dawa hai behoshon ko zer-e-asman
khum-nashin misl-e-falatun sab hain is khum-khana mein

pattharon mein thokaren khata hai nahaq sail-e-ab
puchho kya le jaega aa kar mere gham-khana mein

ek patthar pujne ko shaikh-ji kabe gae
'zauq' har but qabil-e-bosa hai is but-khana mein


Don't have an account? Sign up

Forgot your password?

Error message here!

Error message here!

Hide Error message here!

Error message here!

OR
OR

Lost your password? Please enter your email address. You will receive a link to create a new password.

Error message here!

Back to log-in

Close